Pharmakon
Saturday, 8 December 2018
Paraphilia of Absence
Wednesday, 15 August 2018
Birthday Musings
Take me in therapy
Thursday, 26 July 2018
Subah ki Baarishain
Subah ki khushnuma Baarish
Aur baarish ki shareer cheentain
Tumhare baalon se lipati rehti
Balcony Mai lagi
Do admari kursiyan
Jin par baithte hi
Zindagi, falsafa, muhabbat, Ishq
Science, kainaat aur khuda
Kuch bhi hamari baaton ke
Hisaar se baahir na hota
Chai ki woh garam piyaaliyan
Jin Ko hum dono
Dono haathon se
Apne seene
Aur honton ke
Iss tarah qareeb rakhte
Jaise ki bacche
Khwahishon ki titliyan Ko
Hathaeliyon Mai qaid rakhte hain
Chai ke har dosre ghoont pe
Tum kehti
"Kaam ke liye
Hum dono daer nahi ho rahe?"
Mai tumhari kalai pe
Lagi ghadi Ko dekh kehta
"Waqt humare saath
Chai pe raha hai!"
Aur ye sunte hi
Tum betahasha hasti
Itna ki kursi palat jaati
Aur kuch daer baad
Hum dono
Farsh pe pade
Na jaane kab tak
Duniya-o-jahan ki baatain karte
Aisi baarishain ab Kyun nahi hoti?
Sunday, 3 June 2018
Nikah
Tuesday, 8 May 2018
Soul on Sale
Only soul can feel the pain of soul