Mai gir gaya to
Uthana na mujhe
Mai chala gaya to
Apni yadon ka boojh
Mere kandhon pe hi rakh dena
Mai musafir hun
Magar
Raasta na dikhana mujhe
Bohot lambi hai jo
Hijr ki raatain
Apne aansoaon se
Naapna na inhe
Mai lauton ga nahi
Lut jane walon mai se hun
Lut jane dena mujhe
Apni sooni hatheliyon pe
Mera naam likh kar
Aanso’on se bigona na mujhe
Mai tere muhabbat mai
Chaand ban gaya hun
Roshni sooraj se udhaar leta hun
Dil na lagan mujhse
Sooraj ko apne
Maathey pe saja lena
Aur phir tumhari muhabbat ki dhoop mai
Mai bhi hijr ka chaand ban kar
Ghat te ghat te kho jaonga
Tumhe yaad na aaonga
Tumhe yaad na aaonga...
No comments:
Post a Comment