Friday, 7 April 2017

Pura Chaand

Chaand uska hai ya mera?
Is baat pe
Muddaton
Hamara jagda raha

Fir?
Fir yun hua ki
Chaand ke do tukde ho gaye

Aek usne rakh liya
Aek mere hisse mai aaya

Ab yun hota hai 
Ki
Jiss raat
Uski aur meri
Mulaqaat hoti hai
Dono tukde mil jaate hain

1 comment: