Thursday, 12 July 2012

Khlaa


Jee mai aata hai
Tumhari zidd ki
Koi patang bana ke
Mai bachpan ke
Khuley aasman mai
Shararat ki hawa pe
Udata rahun

Par meri jaan
Jabki tum mayasar nahi
Wo hawa
Wo aasmaan
 Kuch mayasar nahi

4 comments:

  1. Bachpan main hi dekha aaina Jawani ka
    jawani aayi tou rashk ho bachpan ki nadani ka.......

    Full of innocence really like it as always!
    Munazah.

    ReplyDelete